Parveen Shakir poetry in urdu lyrics Sad Poetry in urdu
![]() |
parveen shakir ghazal |
Ahl E Dil Or bhe hain Ahl-e-Wafa Or Bhe Hain,
Aik Hum He Nahi Dunia Say Khafa Aur Bhi Hain,
Parveen Shakir Best Poetry in urdu
Hum Pay He Khatam Nahi Maslak Shoredah Sirri,
Chaak Dil Aur Bhi Hai Chaak Qabaa Aur Bhi Hai,
Kiya Howa Aagar Mere Yaroon Ki Zabanain Chup Hain,
Meray Shahid Meray Yaroon K Siwaa Aur Bhi Hain,
Ghazal Urdu Mein
Sir Salaamat Hai To Kia Sung Malaamat Key Kami,
Jaaan Baqi hai to Paikaan Qazaa Aur Bhi Hain,
Munsif Shahir Key Wehdat pay Na Harf Aajayee
Loog Kehte Hai Keh Arbaab Jafaa Aur Bhi Hai,
Parveen Shakir Best Poetry
Baad Muddat Usay Dekha” logo
![]() |
Parveen Shakir |
Baad Muddat Usay Dekha” logo
Woh Zara Bhi Nahin Badla’ Logo
Khush Naa Tha Mujh Sey Bechar Ker Woh Bhi,
Us Kay Chehray Per Likha Tha’ Logo
Us Key Ankhen Bhi Keh Deti Theen,
Raat Bhar Woh Bhi Na Soyaa’ Logo
Ajnabee Ban Kay Jo guzra Hai Abhi,
Tha Kise Waqt Me Apnaa’ Logo
Dost To Khair Koe Kis Ka Hai,
Us Nay Dushman Bhi Na Samjho’ Logo
Rat woh Dard Meray Dil Me Utha,
Subah Tak Chain Na Aya’ Logo Sad Ghazal in lyrics
Piyaas Sehraon Key Phir Taiz Hoe,
ABR Phir Toot K Barsaa, Logo
Sad Ghazal Of Parveen Shakir Sad Poetry
“Sad Ghazal Dhank Dhank Meri”
![]() |
Urdu Ghazal |
Dhank Dhank Meri Pooron Kay Khawab Ker Day Ga,
Woh Lams Meray Baddan Ko Ghulab Ker Day Ga,
Qabaye Jism Kay Her Taar Say Guzarta Howa,
Kiran Ka Aftaab Mujhay Aaftaab Ker Day Ga,
Main Sach Kahoon Gi Phir Bhi Haar Jaaoon Gi,
Woh Jhoot Bolay Ga Aur La-Jawab Ker Day Ga,
Annaa Parast Hai Itna Keh Baat Say Pehlay,
Woh Uth Ker Band Meri Kitaab Kar Day Ga,
Meri Tarah Say Koe Hai Jo Zindagi Apni,
Tumhari Yaad Kay Naam In-Tasaab Kar Day Ga…???
Teri Khush-bu Ka Pat-ta Karti Hoon
Teri Khush-bu Ka Pat-ta Karti Hoon,
Mujh Pay Ehsaan Howa Karti Hai,
Shab Key Tanhae Mein Ab To Aksar,
Guftgo Tum Say Raha Karti Hai,
Dil Ko Us Rah Pay Chalna He Nahi,
Jo Mujhay Tujh Say Juda Karti Hai,
Zindagi Meri Thi Lakin Ab To,
Tere Kehne Pay Raha Karti Hai,
Us Nay Dekha He Nahin Warna yeh Aankh,
Dil Ka Ahewaal Kaha Karti Hai, Parveen Shakir Best Poetries
“Best Urdu Ghazal”