Best Sad poetry collection in english fonts

 Urdu sad Poetry in urdu Collection Poetry/ghazal shayari in urdu, sad shayari vs sad poetry

ahmad-faraz-poetry

Lotaa Raha Hoon

Dunia Nay Tajarbaat O Hawadis Key Shakal Me

Jo Kch Mujhe Dya Ha Woh Loota Raha Hoo me

2 Sad

Kis ko khaabar the, kis ko yaqen tha k aisy bhe din aye gay

Jena bhw mushkil ho gya Or mar bhe na paye gay

Mar Jatay Hain Looooog shayari

Kitni Katil ha yeh Arzoo zindagi key

Mar jaty hai kisi par loog jenay k lye

3 sad shayari

Tamaash beni kay kothay me roh dafna k aya hun

Main barri mushkil say apni lash utha kay laya hun,

4 Sad Poetry

Abb Aur Kiya Kisi Say Maraasam Barhayen Hmm

Ye Bhe Buht Ha Tujh Ko Aagar Bhool Jaye Hmm

5 Shayari urdu

Allama-iqbal-pic


Mohabat K Gharoon K Kachay Pan Ko Yeh Kaha Samjhe

In Ankhoon Ko To Bs Ata Ha Barsatain Bari Krna

6 Urdu Poetry in English fonts

Ik Raat Hoe Barsaat Buht

Main Roya Sari Raat Buht

Her Ghum Tha Zamaane Ka Lkin

Main Tan-ha Tha Us Rat Buht

Phr Aankh Say Ek Sawan Barsaa

Jab Sahir Hoe To Khayaal Aya

Woh Badal Kittna Tanha Th

Jo Barsaa Sari Rat Buht

7 Urdu Shayari in english font

Sabhi Kch Ho Chuka On Ka Hamaara Kiya Raha Hasrat

Na Deen Aapna, Na Dil Aapna, Na Jaan Aapni, Na Tun Aapna

8 Shayri

Jab Millo Kisi Say Tu Zaraa Dooor Key Yari Rakhna

Jan Laiwa Hotay Hain Aaksar Seney Say Lagane Wale

9 Two Line Sad

Woh Marz e Ishqui He Kiya Abbas Jis Me Jaldi Shiefa Milay

Kon Mangay Ga Khushio Key Dua Jis Ko Dard Me Khuda Milay..

10 2 line poetry

Khattar Say Ya Leehaz Say Me Maan Tu Gaya

Jhooti Qasam Say Ap Ka Eman Tu Gaya

11 shayari 2 Lines

Tu Samne Ha Tu Phr Kio Yaqen Nhi Ata

Yeh Bar Bar Jo Ankhon Ko Mal Kay Daikhte Ha

12 Sad Two Line

Hamaray Aarmaano Say sajaao, shah-e-waqat Or Mahil banaao

Aapna to footpath thekana, daikh ke hamain mat sharmaao

13 Yeh rim jim Barsih poetry

Yeh Rim Jhim, Yeh Barish, Yeh Awaargi Ka Moosam

Hamaray Bs Me Hota Tere Pas Chalay ate

14 Tamashaa Sad Ghazal

Zaher Key Ankh Say Nhi Tamaasha Kary Koe

Ho Daikhna To Deda Dil Wah Karey Koe

Mansor Ko Hoa Lab, Gooya Payaam Maut

Ab Kiya Kisi Kay Ishqui Ka Dawa Kary Koe

Ho Deed Ka Jo Shauq To Aankhoon Ko Band Ker

Ha Daikhna Yhi Keh Nhi Daikha Kary Koe

Main Intahaye Ishqui Hon, Tu Intahaye Husan

Daikhe Mjhe Keh Tujh Ko Tamaasha Kary Koe

Izr e Afreen Juram Mohabbat Ha Husan Dost

Mahshar Me Izr e Taaza Nhi Paida Kary Koe

Chupati Nhi Ha Yeh Nagh Shauq Hmm Nasheen !

Phr Aur Kis Tarah Daikha Kerey Koe

Urr Baithay Kiya Samjh Keh Bhalaa Toor Per Kaleem

Taqat Ho Deed Key To Taqaaza Kery Koe

15 Usay Kehna shayari

Usey kehna

Joft Or Taaq Ka Nhi

Hmm Say koe wasta

Hamain to jb lagae Zarab lagae

Or Bus Taqsem howay!!!

16 Sawal Shayari

Chaly Thay Jinhen daikh Kar Kehnay laga bachaa

Baba Meray hatoon Me Sitaray  To Nhi Hai?

17 Afsoos Shayari

Tm Hamare Kisi Trah Na Howay

Warna Duniaa Me Kiya Nhi Hota

18 Sad Poetry

Aa gayi yaad sham dhalty he

Bujh gaya dil chiragh jalaty he

19

wasi-shah-shayari

Isy Khandar Me Kahin Kch Dye Hai Totay Howay

Inhain Say Kam Chalaao Bari Udaas Hai Raat.

20

Main dil pe jabbar karon ga tujhay bhalaa don ga

Maron ga khud bhe tujhy bhe karri sazaa don ga

Yeh tayragi maray ghar ka hi kyun muqaddar ho

Mein tere shahir k saray deiye bhuja doon ga

Sun-hawa ka haath bataon ga har tabahi mein

Haray shahjar say parinday me khud ora doon ga

Wafa karon ga kisi sogwar chehray say

Porani qab-bar pay qutba naya sajaa doon ga

Isi khayal me guzri hai shaam dard aaksar

Keh dard had say barhaye ga to muskura doon ga

To aasman ki sorat hai gir pary ga kabhi

Zameen hon me bhe mgar tujh ko asraa doon ga

Barha rahe hai meray dukh nishanan teri

Me teri khatir tasveer taq jala doon ga

21

Dhondta phirta hon aye Iqbal apnay ap ko

Aap k goya mosafir, aap he manzil hoon main

22

Jankani main mareez hasti hai

Mangta hai dawa zamany se

Chara sazon sunehri moqa

Zehar de do isi bahany se

22

Khak ko khak le uri sayam

Takubar reh gya wehain ka wehain

23

Chaba Lain Kun Na Khud Hi Apna Dhancha

Tumhain Ratab Muhaya Kyun Krein Ham

24

Aya Hi Tha Abi Mere Lab Pe Wafa Ka Naam

Kuch Doston Ne Hath Mein Pathar Uta Liye

25

Na janay kon sa aasaib dil main basta hai

Keh jo bhi thehra wo aakhir makan chor gaya

26

Bey noor si lagti hai us se bichar kar zindagi

Zaid ab chirgh to jalty hain magar ujala nahi karty

27

Mere kano ko dastak ki zaroorat nahi parti

Mujhy ishq uthata hai azaan se pehly

28

Le De Key Apne Pass Faqt Aik Nazar Tu Hai

Kun Dekhen Zindagi Ko Kisi Ki Nazar Se Ham

29

Mat Poch Ke Kis Tarah Se Chal Rahi Hai Zindagi

Us Dor Se Guzar Rahe Hain Jo Guzarta Hi Nahi

30

Kabi Sehar Tu Kabi Shaam Le Gya Muj Se

Tumhara Dard Kyi Kaam Le Gya Muj Se

31

Us Se Milna Tu Usay Eid Mubarak Kehna

Ye Bhi Kehna Ke Meri Eid Mubarak Kar De

32

Yahan mazdoor ko marne ki jaldi kuch yun bhi hai mohsin

Keh zindagi ki kashmakash main kafan mehnga na ho jaye

33

Dekha kitab e ishq ke awraaq khol kar

Awal bhi tera naam tha, aakhir bhi tera naam..

34

Aflaas ki basti main jaa kar tu dekho

Wahan bachy to hoty hain magar bachpan nahi hota

35

Aa Gayaa tha woh khush khesal pasand

The hamaari bhe kiya kamal pasand

Haif baad-sorati rawaayo key

Haye dil tha mera jamal pasand

Keo banaaya tha Thekra dil ko

Kio Kya Saghar E Sefal Pasand

Thek Ha Main Nhi Pasand Unhain

Lakin is Darjaa payemal pasand??

Sach Na Kaheeye Keh Sach Ha Sabar E Talab

Loog Hotay Hain Ishte’al Pasand

Haan Mujhay Aaj Bhe Pasand Ha Wo

Is Ko Kehte Hai Lazwal Pasand

Ilm Ha Ahl-E-Ilm Ka Shewa

Jah waloon ko ha jalal pasand

Wasle Ko Hijar, Nagehani Maut

Hijar Ko Mosam-E-Wesaaal Pasand

Fikar-E-Dunia Nhi Mujhay Ahmad

Aapni Masti Or Aapni Khal Pasand